shabāb aayā kisī but par fidā hone kā vaqt aayā
mirī duniyā meñ bande ke ḳhudā hone kā vaqt aayā
unheñ dekhā to zāhid ne kahā īmān kī ye hai
ki ab insān ko sajda ravā hone kā vaqt aayā
ḳhudā jaane ye hai auj-e-yaqīñ yā pasti-e-himmat
ḳhudā se kah rahā huuñ nā-ḳhudā hone kā vaqt aayā
hameñ bhī aa paḌā hai dostoñ se kaam kuchh ya.anī
hamāre dostoñ ke be-vafā hone kā vaqt aayā
naved-e-sar-bulandī dī munajjim ne to maiñ samjhā
sagān-e-dahr ke aage ḳhudā hone kā vaqt aayā