apnā nafas nafas hai ki sho.ala kaheñ jise
vo zindagī hai aag kā dariyā kaheñ jise
har-chand shahr shahr hai jashn-e-sahar magar
vo raushnī kahāñ hai saverā kaheñ jise
vo rañg-e-fasl-e-gul hai ki patjhaḌ bhī maat khaa.e
vo sūrat-e-chaman hai ki sahrā kahīñ jise
jo chāragar the vo bhī hue qātil-e-hayāt
ab kaun hai ki apnā masīhā kaheñ jise
dīvār-o-dar pe sabt haiñ naqsh-o-nigār-e-yār
apnā makān hai ki ajantā kaheñ jise
is tarah tābnāk hai vo sajda-gāh-e-shauq
jān-e-haram ki jān-e-kalīsā kaheñ jise
'vāhid' tumheñ jo ḳhvāhish-e-nām-o-numūd ho
vo shā.irī karo ki muamma kaheñ jise