zindagī-bhar dahr kī nairañgiyāñ dekhā kiye
gardish-e-ayyām-o-daur-e-āsmāñ dekhā kiye
ham asīrān-e-qafas kī haa.e re majbūriyāñ
sāmne āñkhoñ ke jaltā āshiyāñ dekhā kiye
āshiyāñ bāñdhā kiye har fasl-e-gul meñ ham-safīr
aur ham apne qafas kī tīliyāñ dekhā kiye
āshiyāñ bāñdhā magar āsūdgī kā zikr kyā
kis tarah girtī haiñ us par bijliyāñ dekhā kiye
jaan bhī āḳhir maraz ke saath ruḳhsat ho ga.ī
ham tirī rah ai masīhā-e-zamāñ dekhā kiye