mohabbat meñ tapāke-zāhirī se kuchh nahīñ hotā
jahāñ dil ko lagī ho dil-lagī se kuchh nahīñ hotā
ye hai jabr-e-mashiyat yā mirī taqdīr hai yārab
sahārā jis kā letā huuñ usī se kuchh nahīñ hotā
koī merī ḳhatā hai yā tirī san.at kī ḳhāmī hai
farishte kah rahe haiñ aadmī se kuchh nahīñ hotā
tire ahkām kī duniyā mire a.amāl kā mahshar
yahāñ merī vahāñ terī ḳhushī se kuchh nahīñ hotā
razā terī likhā taqdīr kā merī ziyāñ-koshī
kisī kī dostī yā dushmanī se kuchh nahīñ hotā