kisī ke husn-e-ālam-tāb kī tanvīr ke sadqe
kisī bad-baḳht kī sūrat bhī pahchānī nahīñ jaatī
muravvat kī adā par band āñkheñ kar ke luT jaanā
ye nādānī sahī lekin ye nādānī nahīñ jaatī
vahāñ dil le chalā hai phir vahī ik baat kahne ko
kahī jaatī hai jo aksar magar maanī nahīñ jaatī
ḳhudāvandā phir āḳhir kyā tamannā hai mire dil kī
vo pahlū meñ bhī haiñ lekin pareshānī nahīñ jaatī
kiyā thā maiñ ne shikva aap ne āñkheñ jhukā lī thiiñ
huī muddat magar ab tak pashemānī nahīñ jaatī
vahī hai apnī rindī aur vahī vaa.iz kī fahmā.ish
burī aadat koī bhī ho ba-āsānī nahīñ jaatī