kyā kahā phir to kaho dil kī ḳhabar kuchh bhī nahīñ
phir ye kyā hai ḳham-e-gesū meñ agar kuchh bhī nahīñ
aañkh paḌtī hai kahīñ paañv kahīñ paḌtā hai
sab kī hai tum ko ḳhabar apnī ḳhabar kuchh bhī nahīñ
sham.a hai gul bhī hai bulbul bhī hai parvāna bhī
raat kī raat ye sab kuchh hai sahar kuchh bhī nahīñ
hashr kī dhuum hai sab kahte haiñ yuuñ hai yuuñ hai
fitna hai ik tirī Thokar kā magar kuchh bhī nahīñ
nīstī kī hai mujhe kūcha-e-hastī meñ talāsh
sair kartā huuñ udhar kī ki jidhar kuchh bhī nahīñ
sham.a maġhrūr na ho bazm-farozī pe bahut
rāt-bhar kī ye tajallī hai sahar kuchh bhī nahīñ
ek aañsū bhī asar jab na kare ai 'tishna'
fā.eda rone se ai dīda-e-tar kuchh bhī nahīñ