zehn pareshāñ ho jaatā hai aur bhī kuchh tanhā.ī meñ
taaza ho jaatī haiñ choTeñ sab jaise purvā.ī meñ
us ko to jaanā thā lekin merā kyuuñ ye haal huā
añgnā.ī se kamre meñ aur kamre se añgnā.ī meñ
us ke dil kā bhed usī kī ā.ankhoñ se mil saktā thā
kis meñ himmat hai jo utre jhīloñ kī gahrā.ī meñ
ek hī ghar ke rahne vaale ek hī āñgan ek hī duvār
jaane kyuuñ baḌhtī jaatī hai nafrat bhaa.ī bhaa.ī meñ
nuur basīrat kā baḳhshā kal tak maiñ ne jin ko 'zubair'
farq nazar aatā hai un ko ab merī bīnā.ī meñ