phir ghaḌī aa ga.ī aziyyat kī
us kī yādoñ ne phir sharārat kī
jab khulīñ gutthiyāñ haqīqat kī
dhajjiyāñ uḌ ga.iiñ sharāfat kī
sach batāo kabhī huā aisā
sach batāo kabhī shikāyat kī
ḳhud se apnā mizāj bhī pūchhūñ
gar mayassar ghaḌī ho fursat kī
kitne chehroñ ke rañg zard paḌe
aaj sach bol kar himāqat kī
sach se hargiz gurez mat karnā
hai agar aarzū shahādat kī
maiñ buzurgoñ ke saa.e meñ huuñ 'zubair'
bārisheñ ho rahī haiñ rahmat kī