ham jo gir kar sambhal jā.eñge
rāste ḳhud badal jā.eñge
qahqahoñ ko zarā rokiye
varna aañsū machal jā.eñge
dostoñ ke Thikāne bahut
āstīnoñ meñ pal jā.eñge
nuur ham se talab to karo
ham charāġhoñ meñ Dhal jā.eñge
ā.īnoñ se na rūThā karo
varna chehre badal jā.eñge
dekhiye mujh ko mat dekhiye
log dekheñge jal jā.eñge
kyā ḳhabar thī ki is daur meñ
khoTe sikke bhī chal jā.eñge
ġham to ġham hī raheñge 'zubair'
ġham ke unvāñ badal jā.eñge