Zubair Amrohvi

har ek lamha teri yaad mein basar karna

Zubair Amrohvi

har ek lamha tirī yaad meñ basar karnā
hameñ bhī aa gayā ab ḳhud ko mo'tabar karnā
sadā se ek sadā aa rahī hai kānoñ meñ
aziim kaam hai logoñ ke dil meñ ghar karnā
haiñ yuuñ to ghar meñ bhī ḳhadshāt zindagī ko magar
ajiib lagtā hai is daur meñ safar karnā
kahīñ shahādateñ paa.eñ kahīñ bane ġhāzī
har ek ma.arka aatā hai ham ko sar karnā
vo ek shaah jo taḌpā vatan kī miTTī ko
ilāhī aise kisī ko na dar-ba-dar karnā
diloñ ke farq miTāne kī baat kiije 'zubair'
idhar kī baat munāsib nahīñ udhar karnā
Top Urdushayar.com