diloñ pe zaḳhm lagā ke hazār guzrī bahār
ga.ī hai chhoḌ ke ik yādgār guzrī bahār
mire qarīb jo koī gul-e-badan mahkā
to aa.ī yaad koī ḳhush-gavār guzrī bahār
kisī tarah mujhe pāgal na kar sakī varna
tire baġhair bhī aa.ī bahār guzrī bahār
har ek sarv-e-ravāñ par gumāñ ki jaise vahī
ho merā maazī mirī yādgār guzrī bahār
mire nasīb kā nauha ḳhizāñ ye ahd-e-ḳhizāñ
tire karam kā fasāna bahār guzrī bahār