Gyan Chand Mansoor

tishna-e-takmil hai wahshat ka afsana abhi

Gyan Chand Mansoor

tishna-e-takmīl hai vahshat kā afsāna abhī
vāqif-e-sūd-o-ziyāñ hai terā dīvāna abhī
kyuuñ na ho qurbān sham-e-husn ke jalvoñ pe dil
apne jalvoñ se hai nā-vāqif ye parvāna abhī
gul charāġh-e-dair hai ḳhāmosh hai sham-e-haram
sāqiyā raushan hai tere dam se mai-ḳhāna abhī
yā tajallī tuur kī hai ḳhud hijāb-andar-hijāb
yā nahīñ zauq-e-nazar apnā kalīmāna abhī
duur hai manzil mirī ik jaam ai pīr-e-muġhāñ
raah meñ ā.eñge ka.aba aur but-ḳhāna abhī
dāstāñ 'mansūr' kī be-kaif ho saktī nahīñ
muddatoñ dohrā.egī duniyā ye afsāna abhī
Top Urdushayar.com