Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

gudaz-e-dil se parwana hua KHak

Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

Delhi, India

1868-1927
gudāz-e-dil se parvāna huā ḳhaak
jiyā be-soz meñ to kyā jiyā ḳhaak
kisī ke ḳhūn-e-nāhaq kī hai surḳhī
rañgeñgī dast-e-qātil ko hinā ḳhaak
nigah meñ sharm ke badle hai shoḳhī
khule phir raat kā kyā mājrā ḳhaak
laboñ tak aa nahīñ saktā to phir maiñ
kahūñ kyā apne dil kā mudda.ā ḳhaak
bulandī se hai us kī Dar ki ik roz
karegī āshiyāñ barq-e-balā ḳhaak
na dekhā jin kā chehra gard-ālūd
paḌī hai un pe ab be-intihā ḳhaak
bayābāñ meñ phirā karte haiñ 'shaidā'
haqīqat meñ hai ulfat kī davā ḳhaak
Top Urdushayar.com