kuchh baat hī thī aisī ki thāme jigar ga.e
ham aur jaate bazm-e-adū meñ magar ga.e
ye to ḳhabar nahīñ ki kahāñ aur kidhar ga.e
lekin yahāñ se duur kuchh ahl-e-safar ga.e
armāñ jo ham ne jam.a kiye the shabāb meñ
piirī meñ vo ḳhudā ko ḳhabar hai kidhar ga.e
rutba buland hai mire dāġhoñ kā is qadar
maiñ huuñ zamīñ pe daaġh mire tā-qamar ga.e
ruḳhsār par hai rañg-e-hayā kā faroġh aaj
bose kā naam maiñ ne liyā vo nikhar ga.e
duniyā bas is se aur zyāda nahīñ hai kuchh
kuchh roz haiñ guzārne aur kuchh guzar ga.e
jaane lagā hai dil kī taraf un kā haath ab
naale shab-e-firāq ke kuchh kaam kar ga.e
hasrat kā ye mazā hai ki nikle nahīñ kabhī
armāñ nahīñ haiñ vo ki shab aa.e sahar ga.e
bas ek zaat hazrat-e-'shaidā' kī hai yahāñ
dehlī se rafta rafta sab ahl-e-hunar ga.e