martā bhalā hai zabt kī tāqat agar na ho
kitnā hī dard-e-dil ho magar chashm-e-tar na ho
vo sar hī kyā ki jis meñ tumhārā na ho ḳhayāl
vo dil hī kyā ki jis meñ tumhārā guzar na ho
aisī to be-asar nahīñ betābi-e-firāq
naale karūñ maiñ aur kisī ko ḳhabar na ho
mil jaao tum to shab ko baḌhā leñge tā-abad
māñgeñge ye duā ki ilāhī sahar na ho
zulf un kī apne ruḳh pe pareshāñ kareñge ham
Dar hai shab-e-visāl kahīñ muḳhtasar na ho
maiñ huuñ vo tufta-dil kī huā āftāb par
merā gumāñ ki aah kā merī sharar na ho
'shaidā' ko tere ḳhauf kisī kā nahīñ yahāñ
saarā jahāñ ho us kā adū to magar na ho