Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

dard ko rahne bhi de dil mein dawa ho jaegi

Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

Delhi, India

1868-1927
dard ko rahne bhī de dil meñ davā ho jā.egī
maut aa.egī to ai hamdam shifā ho jā.egī
hogī jab nāloñ kī apne zer gardūñ bāz-gasht
mere dard-e-dil kī shohrat jā-ba-jā ho jā.egī
kū-e-jānāñ meñ use hai sajda-rezī kā jo shauq
merī peshānī rahīn-e-naqsh-e-pā ho jā.egī
kākul-e-pechāñ haTā kar ruḳh se aao sāmne
parda-dār-e-husn mahfil meñ ziyā ho jā.egī
jab ye samjhūñgā ki merī ziist hai mamnūn-e-marg
maut merī zindagī kā aasrā ho jā.egī
intizār-e-vasl karnā umr bhar mumkin to hai
go nahīñ mālūm hālat kyā se kyā ho jā.egī
mohtasib aur ham haiñ donoñ muttafiq is baab meñ
barmalā jo mai-kashī ho be-riyā ho jā.egī
maiñ abhī se jaan de dūñgā jo rāh-e-ishq meñ
intihā majnūñ kī merī ibtidā ho jā.egī
faash rāz-e-dil nahīñ kartā magar ye Dar to hai
be-ḳhudī meñ aah lab se āshnā ho jā.egī
bāryāb-e-ḳhvāb-gāh-e-nāz hone do use
un kī zulfoñ meñ pareshāñ ḳhud sabā ho jā.egī
maqsad-e-ulfat ko kar lo pahle 'shaidā' dil-nashīñ
varna har āh-o-fuġhāñ be-mudda.ā ho jā.egī
Top Urdushayar.com