Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

mariz-e-ishq ki juz-marg duniya mein dawa kyun ho

Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

Delhi, India

1868-1927
marīz-e-ishq kī juz-marg duniyā meñ davā kyuuñ ho
agar jaañ ho aziiz apnī to jānāñ par fidā kyuuñ ho
uThe jo aag siine se dabā duuñ us ko ashkoñ se
shab-e-hijrāñ meñ naala se mirā lab āshnā kyuuñ ho
milo ḳhalvat meñ aur do tum mujhe dars-e-shakebā.ī
karam tum meñ na ho to dil mirā sabr-āzmā kyuuñ ho
chale jab tak zabāñ jaarī ho us par dāstān-e-ġham
tavānā.ī tire bīmār kī sarf-e-duā kyuuñ ho
bhalā tū aur ghar aa.e mire kyūñ-kar yaqīñ kar luuñ
taḳhayyul kyuuñ na ho merā tirī āvāz-e-pā kyuuñ ho
agar baḳht-e-rasā ne rahbarī kī terī ḳhalvat tak
to phir dast-e-tamannā rehn-e-dāmān-e-qabā kyuuñ ho
mire ḳhuuñ aur hinā meñ der se bāham raqābat hai
na ho gar rañg-e-ḳhūñ pā meñ to phir rañg-e-hinā kyuuñ ho
qayāmat ek din aa.ī hai is meñ shak nahīñ 'shaidā'
khaḌā ho bazm se jab vo qayāmat phir bapā kyuuñ ho
Top Urdushayar.com