Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

charcha hamara ishq ne kyun ja-ba-ja kiya

Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

Delhi, India

1868-1927
charchā hamārā ishq ne kyuuñ jā-ba-jā kiyā
dil us ko de diyā to bhalā kyā burā kyā
ab kholiye kitāb-e-nasīhat ko shaiḳh phir
shab mai-kade meñ aap ne jo kuchh kiyā kiyā
vo ḳhvāb-e-nāz meñ the mirā dīda-e-niyāz
dekhā kiyā aur un kī balā.eñ liyā kiyā
roz-e-azal se tā-ba-abad apnī jaib kā
thā ek chaak jis ko maiñ baiThā siyā kiyā
dekhe jo daaġh dāman-e-isyāñ pe be-shumār
maiñ ne bhī josh-e-girya se tūfāñ bapā kiyā
gum-karda raah aa.e haiñ vo aaj mere ghar
ai merī āh-e-nīm-shabī tū ne kyā kiyā
kyā pūchhte ho dast-e-qanā.at kī kotahī
kuchh vā shab-e-visāl meñ band qabā kiyā
lazzat hī thī kuchh aisī ki chhoḌā na sabr ko
karte rahe vo jaur-o-sitam maiñ sahā kiyā
kyā shai thī vo jo aañkh se dil meñ utar ga.ī
dil se uThī to ashk kā tūfāñ bapā kiyā
phir le chalā hai kal mujhe kyuuñ bazm-e-yār meñ
ījād us ne kyā koī tarz-e-jafā kiyā
'shaidā' ġhazal paḌho koī majlis meñ dūsrī
ik paḌh ke rah ga.e to bhalā tum ne kyā kiyā
Top Urdushayar.com