Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

phirta rahta hun main har lahza pas-e-jam-e-sharab

Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

Delhi, India

1868-1927
phirtā rahtā huuñ maiñ har lahza pas-e-jām-e-sharāb
mujh ko bad-nām karegī havas-e-jām-e-sharāb
qāfila aish kā tayyār hai rindoñ ke liye
qulqul-e-shīsha-e-mai hai jaras-e-jām-e-sharāb
jumbish-e-bād-e-sahar se hai tamavvuj mai meñ
quvvat-e-jān-e-hazīñ hai nafas-e-jām-e-sharāb
ḳham luñDhā duuñ to na chakrā.e kabhī sar merā
ek jur.a meñ gayā bul-havas-e-jām-e-sharāb
mujh se pūchho asar-e-bāda-e-gul-gūñ vaa.iz
maiñ huuñ rindoñ meñ bahut nukta-ras-e-jām-e-sharāb
TikTikī bāñdh ke dekhā kiyā itnā ki banā
sāya-e-mardum-e-dīda magas-e-jām-e-sharāb
mai na ho bū hī sahī kuchh to ho rindoñ ke liye
isī hiile se bujhegī havas-e-jām-e-sharāb
zulf-e-mushkīñ ke liye bū jo chalī aatī hai
hai nasīm-e-saharī ham-nafas-e-jām-e-sharāb
ham ne rindoñ kā maqūla ye sunā hai 'shaidā'
sohbat-e-aish meñ zāhid hai ḳhas-e-jām-e-sharāb
Top Urdushayar.com