be-niyāzī se mudārāt se Dar lagtā hai
jaane kyā baat hai har baat se Dar lagtā hai
sāġhar-e-bāda-e-gul-rañg to kuchh duur nahīñ
nigah-e-pīr-e-ḳharābāt se Dar lagtā hai
dil pe khaa.ī huī ik choT ubhar aatī hai
tere dīvāne ko barsāt se Dar lagtā hai
ai dil afsāna-e-āġhāz-e-vafā rahne de
mujh ko biite hue lamhāt se Dar lagtā hai
haath se zabt kā dāman na kahīñ chhuT jaa.e
aap kī pursish-e-hālāt se Dar lagtā hai
maiñ jo us bazm meñ jaatā nahīñ 'ash.ar' mujh ko
apne sahme hue jazbāt se Dar lagtā hai