ye kaif kaif-e-mohabbat hai koī kyā jaane
chhalak rahe haiñ nigāhoñ meñ dil ke paimāne
kahāniyoñ hī pe buniyād hai haqīqat kī
haqīqatoñ hī se paidā hue haiñ afsāne
na ab vo ātish-e-namrūd hai na sho.ala-e-tūr
tirī nigāh ko kyā ho gayā ḳhudā jaane
hazār terī mohabbat ne rahnumā.ī kī
guzar sake na maqām-e-junūñ se dīvāne
unhī ko hāsil-e-yak-shahr-e-ārzū kahiye
mirī nigāh meñ ābād haiñ jo vīrāne
tujhe ḳhabar bhī hai is daur-e-ḳhasta-hālī meñ
ḳhud ahl-e-dil haiñ mazāq-e-vafā se begāne
junūñ fareb-e-ḳhirad hai ḳhirad fareb-e-nazar
mujhe kahīñ kā na rakkhā mirī tamannā ne