Habeeb Ashar Dehlavi

mauj-e-anfas bhi ek tegh-e-rawan ho jaise

Habeeb Ashar Dehlavi

Delhi, India

1919-1971
mauj-e-anfās bhī ik teġh-e-ravāñ ho jaise
zindagī kār-gah-e-shīsha-garāñ ho jaise
dil pe yuuñ aks-fagan hai koī bhūlī huī yaad
sar-e-kohsār dhundalke kā samāñ ho jaise
hāsil-e-umr-e-vafā hai bas ik ehsās-e-yaqīñ
vo bhī parvarda-e-āġhosh-e-gumāñ ho jaise
mujh se vo aañkh churātā hai to yuuñ lagtā hai
saarī duniyā mirī jānib nigarāñ ho jaise
aaj 'ash.ar' se sar-e-rāh mulāqāt huī
koī darmānda-e-dil sho.ala-ba-jāñ ho jaise
Top Urdushayar.com