daraḳht ab kis kā rasta dekhte haiñ
musāfir manziloñ ke ho ga.e haiñ
ḳhudā jaane huī hai baat kaisī
muḳhālif sab ke sab apne hue haiñ
vahāñ to ishq hai ik khel goyā
yahāñ to jaan ke laale paḌe haiñ
kahīñ gūñjā hai koī qahqaha kyā
fazāoñ meñ bhañvar se paḌ rahe haiñ
isī duniyā meñ haiñ kitnī hī duniyā
sabhī ke apne apne mas.ale haiñ
hamāre zehn to maflūj the hī
hamāre dil bhī patthar ho ga.e haiñ
darīche band darvāze muqaffal
bayābāñ ke magar raste khule haiñ
kahāñ 'fārūq' raushan ḳhvāb hoñge
hamārī āñkhoñ meñ to ratjage haiñ