jis zamīñ par tirā naqsh-e-kaf-e-pā hotā hai
ek ik zarra vahāñ qibla-numā hotā hai
kaash vo dil pe rakhe haath aur itnā pūchhe
kyuuñ taḌap uThtā hai kyā baat hai kyā hotā hai
bazm-e-dushman hai ḳhudā ke liye ārām se baiTh
baar baar ai dil-e-nādāñ tujhe kyā hotā hai
merī sūrat mirī hālat mirī rañgat dekhī
aap ne dekh liyā ishq meñ kyā hotā hai
ai sabā ḳhār-e-muġhīlāñ ko sunā de muzhda
āzim-e-dasht koī ābla-pā hotā hai
ham jo kahte haiñ hamesha hī ġhalat kahte haiñ
aap kā hukm durust aur bajā hotā hai