nāmūs-e-vafā kā paas rahā shikva bhī zabāñ tak lā na sake
andar se to ro.e TuuT ke ham par ek bhī ashk bahā na sake
sāhil to nazar aayā lekin tūfāñ meñ balā kī shiddat thī
maujoñ ko manāyā laakh magar ham jānib sāhil aa na sake
ham kahte kahte haar ga.e aur duniyā ne kuchh bhī na sunā
jab duniyā ne isrār kiyā ham apnā dard sunā na sake
kab ham ne gulistāñ chāhā thā kab ham ne bahāreñ māñgīñ thiiñ
ik gul kī tamannā thī ham ko vo bhī to chaman meñ pā na sake