dam-ba-ḳhud gulshanoñ kī ra.anā.ī
kaisī khoī huī bahār aa.ī
tum ko saudā-e-mahfil-ārā.ī
aur hameñ justujū-e-tanhā.ī
rāhateñ tum ko rañj ham ko aziiz
apnī apnī nazar kī gahrā.ī
kitnī begāngī se dekhte ho
jab ġham-e-zindagī kī baat aa.ī
zaḳhm-dar-zaḳhm hai hayāt 'fanā'
kaise kar pāoge masīhā.ī