Parveen Fana Syed

tujhko ab koi shikayat to nahin

Parveen Fana Syed

Lahore, Punjab, Pakistan

1936-2010
tujh ko ab koī shikāyat to nahīñ
ye magar tark-e-mohabbat to nahīñ
merī āñkhoñ meñ utarne vaale
Duub jaanā tirī aadat to nahīñ
tujh se begāne kā ġham hai varna
mujh ko ḳhud apnī zarūrat to nahīñ
khul ke ro luuñ to zarā jī sambhle
muskurānā hī masarrat to nahīñ
tujh se farhād kā tesha na uThā
is junūñ par mujhe hairat to nahīñ
phir se kah de ki tirī manzil-e-shauq
merā dil hai mirī sūrat to nahīñ
terī pahchān ke lākhoñ andāz
sar jhukānā hī ibādat to nahīñ
Top Urdushayar.com