Parveen Fana Syed

choT nai hai lekin zaKHm purana hai

Parveen Fana Syed

Lahore, Punjab, Pakistan

1936-2010
choT na.ī hai lekin zaḳhm purānā hai
ye chehra kitnā jānā-pahchānā hai
saarī bastī chup kī dhund meñ Duubī hai
jis ne lab khole haiñ vo dīvānā hai
aao us suqrāt kā istiqbāl kareñ
jis ne zahr ke ghūñT ko amrit jaanā hai
ik ik kar ke sab panchhī dam toḌ ga.e
bharī bahār meñ bhī gulshan vīrāna hai
apnā paḌāv dasht-e-vafā be-āb-o-giyāh
tum ko to do chaar qadam hī jaanā hai
kal tak chāhat ke āñchal meñ lipTā thā
aaj vo lamha ḳhvāb hai yā afsānā hai
Top Urdushayar.com