fikr-e-uqbā hai mujhe ḳhvāhish-e-duniyā hai mujhe
aish kī dhun hai mujhe maut kā dhaḌkā hai mujhe
maut kahte haiñ jise zabt kī takmīl na ho
ki tanaffus pe bhī fariyād kā dhokā hai mujhe
husn vo chāhiye jo ishq kā ā.īna bane
ya.anī apne liye apnī hī tamannā hai mujhe
tum na ghabrāo mujhe tum se koī kaam nahīñ
apnī ḳhvāhish hai mujhe apnī tamannā hai mujhe
ye to ma.alūm nahīñ un kā irāda kyā hai
haañ nigāh-e-ġhalat-andāz se dekhā hai mujhe
hijr kī shab udhar allāh idhar vo but hai
dekhnā ye hai ki ab kaun bulātā hai mujhe
ek but ek hī but kā huuñ pujārī 'aḳhtar'
apne is shirk pe tauhīd kā da.avā hai mujhe