bhuul kar tujh ko bharā shahr bhī tanhā dekhūñ
yaad aa jaa.e to ḳhud apnā tamāshā dekhūñ
muskurātī huī in āñkhoñ kī shādābī meñ
maiñ tirī ruuh kā taptā huā sahrā dekhūñ
itnī yādeñ haiñ ki jamne nahīñ paatī hai nazar
band āñkhoñ ke darīchoñ se maiñ kyā kyā dekhūñ
vaqt kī dhuul se uThne lage qadmoñ ke nuqūsh
tū jahāñ chhoḌ gayā hai vahī rasta dekhūñ
yuuñ to bāzār meñ chehre haiñ hasīñ ek se ek
koī chehra to haqīqat meñ shanāsā dekhūñ