kaash tūfāñ meñ safīne ko utārā hotā
Duub jaatā bhī to maujoñ ne ubhārā hotā
ham to sāhil kā tasavvur bhī miTā sakte the
lab-e-sāhil se jo halkā sā ishārā hotā
tum hī vāqif na the ādāb-e-jafā se varna
ham ne har zulm ko hañs hañs ke sahārā hotā
ġham to ḳhair apnā muqaddar hai so is kā kyā zikr
zahr bhī ham ko ba-sad-shauq gavārā hotā
bāġhbāñ terī ināyat kā bharam kyuuñ khultā
ek bhī phuul jo gulshan meñ hamārā hotā
tum par asrār-e-fanā rāz-e-baqā khul jaate
tum ne ek baar to yazdāñ ko pukārā hotā