ik ik ko itaab bāñTte ho
kis tarah ke ḳhvāb bāñTte ho
har chehre pe jhurriyāñ likhī haiñ
tum kaisā shabāb bāñTte ho
firdaus tumhāre haath meñ hai
bandoñ ko azaab bāñTte ho
ik ek kalī kā rañg faq hai
ye kaise gulāb bāñTte ho
āñkhoñ meñ to ratjage likhe haiñ
tum samjhe ki ḳhvāb bāñTte ho