Hari Chand Akhtar

chahta hun intiha-e-dard-e-dil

Hari Chand Akhtar

Hoshiarpur, Punjab, India

1901-1958
chāhtā huuñ intihā-e-dard-e-dil
mil ga.ī āḳhir davā-e-dard-e-dil
kyā zarūrī thī davā-e-dard-e-dil
sun to lete mājrā-e-dard-e-dil
ishq kī vaj.h-e-nadāmat kuchh na pūchh
dil hai pahlū meñ ba-jā-e-dard-e-dil
jis ko dil lene pe itnā naaz hai
kaash hotā āshnā-e-dard-e-dil
yuuñ nahīñ miTne kī 'aḳhtar' ye ḳhalish
dil kahīñ aa.e to jā-e-dard-e-dil
Top Urdushayar.com