zahr shīrīñ hai sach piye jaao
hamdamo mar ke bhī jiye jaao
imtihān-e-vafā hameñ manzūr
intihā-e-sitam kiye jaao
khul na jaa.e fareb-e-chara-garī
zaḳhm har haal meñ siye jaao
raakh kā Dher haiñ mah-o-anjum
raakh meñ justujū kiye jaao
rah-ravī kā yahī taqāzā hai
rāhzan ko duā diye jaao