Hari Chand Akhtar

surat se wo bezar hai malum nahin kyun

Hari Chand Akhtar

Hoshiarpur, Punjab, India

1901-1958
sūrat se vo bezār hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
dil phir bhī talabgār hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
har shaḳhs ko baḳhshī ga.ī tam.īz-e-bad-o-nek
har-shaḳhs ziyāñ-kār hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
ik chiiz ki sarmāya-e-rāhat hai use log
kahte haiñ ki āzār hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
pattā bhī agar hiltā hai to us kī razā se
aur banda gunahgār hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
dīñ-dār hai zāhid kī zabāñ bhī mirā dil bhī
phir muft kī takrār hai ma.alūm nahīñ kyuuñ
Top Urdushayar.com