Maqbool Aamir

yahi chinar yahi jhil ka kinara tha

Maqbool Aamir

1955-1990
yahī chīnār yahī jhiil kā kinārā thā
yahīñ kisī ne mire saath din guzārā thā
nazar meñ naqsh hai sub.h-e-safar kī vīrānī
bas ek maiñ thā aur ik sub.h kā sitārā thā
mire ḳhilāf gavāhī meñ pesh pesh rahā
vo shaḳhs jis ne mujhe jurm par ubhārā thā
ḳhirāj detā chalā aa rahā huuñ aaj talak
maiñ ek roz zamāne se jañg haarā thā
mujhe ḳhud apnī nahīñ us kī fikr lāhaq hai
bichhaḌne vaalā bhī mujh sā hī be-sahārā thā
zamīñ ke kaam agar merī dastaras meñ nahīñ
to phir zamīñ pe mujhe kis liye utārā thā
maiñ jal ke raakh huā jis alaao meñ 'āmir'
vo ibtidā meñ sulagtā huā sharāra thā
Top Urdushayar.com