Maqbool Aamir

meri tarif kare ya mujhe bad-nam kare

Maqbool Aamir

1955-1990

merī tārīf kare mujhe bad-nām kare

jis ne jo baat bhī karnī hai sar-e-ām kare

zaḳhm par vaqt marham to lagā detī hai

aur kyā is ke sivā gardish-e-ayyām kare

mohtasib se maiñ akelā nimaT saktā huuñ

jis ne jo jurm kiyā hai vo mire naam kare

vo mirī soch se ḳhā.if hai to us se kahnā

mujh meñ uḌte hue taa.ir ko tah-e-dām kare

kaun aa.egā pa.e-pursish-e-ahvāl yahāñ

kis ḳhātir koī taz.īn-e-dar-o-bām kare

mujh ko bhī ho mirī auqāt kuchh andāza

koī to sūrat-e-yūsuf mujhe nīlām kare

Top Urdushayar.com