Sahar Mahmood

munh se jo kuchh bolo bhayya

Sahar Mahmood

Kapilvastu, Nepal

1989
muñh se jo kuchh bolo bhayyā
pahle us ko tolo bhayyā
bojh zarā kam ho jā.egā
yaad meñ un kī ro lo bhayyā
tanhā kab tak chalte rahoge
saath kisī ke holo bhayyā
ye galiyāñ badnām bahut haiñ
jald yahāñ se Dolo bhayyā
maiñ ne bhī ye siikh liyā hai
pyaar ho jis se bolo bhayyā
achchhā hai ye dard kisī kā
apne dil meñ samo lo bhayyā
der huī maiñ kaan dhare huuñ
darvāza to kholo bhayyā
Top Urdushayar.com