Sahar Mahmood

hai ye surat gham ke bas izhaar ki

Sahar Mahmood

Kapilvastu, Nepal

1989
hai ye sūrat ġham ke bas iz.hār kī
Dhaal diije shakl meñ ash.ār kī
ḳhairiyat matlūb hai dildār kī
dāstāñ mat chheḌiye sansār kī
hai ajab sūrat yahāñ takrār kī
dil kī māneñ baat yā dildār kī
ḳhāsiyat ye dil ke hai darbār kī
qadr hotī hai yahāñ bas pyaar kī
hai ḳhushī itne meñ hī bīmār kī
koī sūrat to huī dīdār kī
zimmedārī tum pe hai ghar-bār kī
harkateñ chhoḌo miyāñ bekār kī
dil meñ rahte haiñ magar anjān se
jaane kyā marzī hai apne yaar kī
mas.ala pand-o-nasīhat kā durust
chhāp paḌtī hai magar kirdār kī
har ta.alluq kā hai kuchh maqsad 'sahar'
kaun suntā hai kisī lāchār kī
Top Urdushayar.com