Sahar Mahmood

andhere se ziyaada raushni taklif deti hai

Sahar Mahmood

Kapilvastu, Nepal

1989
añdhere se ziyāda raushnī taklīf detī hai
zamāne ko mirī zinda-dilī taklīf detī hai
bahut achchhā thā jab nā-āshnā thā husn duniyā se
mujhe ab hosh-mandī āgahī taklīf detī hai
vo aksar chheḌ dete haiñ mire derīna zaḳhmoñ ko
na jaane kyuuñ unheñ merī ḳhushī taklīf detī hai
jo apne sīnoñ meñ dil kī ba-jā-e-sañg rakhte haiñ
unheñ ham ahl-e-dil kī sarḳhushī taklīf detī hai
ho takmīl-e-havas jis dostī kā muntahā ai dil
mujhe vo rasm-o-rāh-e-āshiqī taklīf detī hai
ḳhudā ke fazl se mujh ko sabhī kuchh mil gayā lekin
mujhe is bazm meñ un kī kamī taklīf detī hai
'sahar' vābasta merī shā.irī hai un kī yādoñ se
kabhī pur-kaif hotī hai kabhī taklīf detī hai
Top Urdushayar.com