Sahar Mahmood

asl mein maut to KHushiyon ki ghaDi hai yaro

Sahar Mahmood

Kapilvastu, Nepal

1989
asl meñ maut to ḳhushiyoñ kī ghaḌī hai yaaro
zindagī karb hai ashkoñ kī jhaḌī hai yaaro
koī rotā hī nahīñ ġhair kī barbādī par
har bashar ko yahāñ apnī hī paḌī hai yaaro
vaqt aane pe har ik shaḳhs daġhā detā hai
aisā lagtā hai qayāmat kī ghaḌī hai yaaro
apne anjām se ġhāfil na raho fikr karo
maut farmān liye sar pe khaḌī hai yaaro
muskurā kar bhī agar koī kabhī miltā hai
is zamāne meñ yahī baat baḌī hai yaaro
raah chaltoñ ko ye paiġhām 'sahar' detā hai
husn-e-kirdār to jaadū kī chhaḌī hai yaaro
Top Urdushayar.com