Sahar Mahmood

bachpan ki yaadon ko bhulae ek zamana bit gaya

Sahar Mahmood

Kapilvastu, Nepal

1989
bachpan kī yādoñ ko bhulā.e ek zamāna biit gayā
ham ko des se bāhar aa.e ek zamāna biit gayā
galiyoñ aur bāzāroñ meñ maiñ maarā maarā phirtā huuñ
ḳhushiyoñ kī ik bazm sajā.e ek zamāna biit gayā
merī taraf bhī chashm-e-karam ahbāb kabhī farmā.eñge
un se ye ummīd lagā.e ek zamāna biit gayā
kis ko ḳhabar kab puurī hogī ḳhvāboñ kī ta.abīr mire
nīñdoñ ko palkoñ pe sajā.e ek zamāna biit gayā
is duniyā meñ apne parā.e kī hai 'sahar' pahchān kise
mahfil-e-jāñ meñ mujh ko aa.e ek zamāna biit gayā
Top Urdushayar.com