dard kī sūrat meñ vo umda sā tohfa de gayā
bevafā duniyā meñ jiine kā sahārā de gayā
jism hai āzād lekin dil asīr-e-ishq hai
kuchh haqīqat de gayā vo kuchh fasāna de gayā
saarī duniyā ek din yuuñ hī fanā ho jā.egī
jalte jalte ek parvāna ishāra de gayā
apne mustaqbil ko raushan karne nikle the magar
shahr kā sūraj to āñkhoñ ko añdherā de gayā
ho ga.e kāfūr saare ġham ba-yak-laḳht-o-nazar
jab kabhī vo daad ummīd-e-tamannā de gayā
kis qadar vīrān hai us ke binā saarā chaman
sochtā rahtā huuñ vo kyā le gayā kyā de gayā
raqs-farmā zehn meñ hai ab bhī vo sūrat 'sahar'
jaate jaate apnī yādoñ kā ḳhazāna de gayā