dekhī hai maiñ ne ye bhī nairañgī-e-zamāna
insāf kī ridā meñ andāz-e-zālimāna
kitne hasīn din the anjān the jahāñ se
aatā hai yaad ab vo guzrā huā zamāna
tere hī dam se yārab ābād hai ye duniyā
hai bas yahī haqīqat baaqī jo hai fasāna
koī nahīñ dikhātā ab to hunar-shanāsī
uThtī hai jo nazar bhī hotī hai nāqidāna
kitnā hasīn terā andāz-e-guftugū hai
jī chāhtā hai likh duuñ tujh par koī fasāna
tum kyā ga.e ki duniyā maġhmūm lag rahī hai
ab zindagī ye mujh ko lagtī hai qaid-ḳhāna