Sahar Mahmood

hum dil ki nigahon se jahan dekh rahe hain

Sahar Mahmood

Kapilvastu, Nepal

1989
ham dil kī nigāhoñ se jahāñ dekh rahe haiñ
vo baat nazar vaale kahāñ dekh rahe haiñ
jin hāthoñ meñ kal amn kā parcham thā unhī meñ
hairat hai ki shamshīr-o-sināñ dekh rahe haiñ
kyā jāniye kyuuñ sog kā manzar hai chaman meñ
ḳhāmosh zabāñ ashk ravāñ dekh rahe haiñ
āḳhir koī afsos kare bhī to kahāñ tak
har samt tabāhī kā samāñ dekh rahe haiñ
aa.egā dil-o-jāñ bhī luTāne kā zamāna
kuchh aaj bhī ulfat kā nishāñ dekh rahe haiñ
mumkin hai ḳhirad-mandoñ ko dīvāna banā de
jo azm mire dil meñ javāñ dekh rahe haiñ
un se koī ummīd-e-vafā rakhe to kaise
har baat meñ jo sūd-o-ziyāñ dekh rahe haiñ
ḳhāmoshī se hal apne masā.il nahīñ hoñge
kuchh kahiye 'sahar' ahl-e-zabāñ dekh rahe haiñ
Top Urdushayar.com