jo haiñ havas ke pujārī vo māl-o-zar ke liye
nahīñ hai ḳhauf unheñ ḳhuuñ kā ḳhuuñ bahāne meñ
tamām ahd-e-javānī guzar gayā yuuñ hī
unheñ hameñ aur hameñ un ko āzmāne meñ
kisī se kuchh na kaheñge hoñ laakh ġham ab to
bahut hai zillat-o-rusvā.ī ġham sunāne meñ
tamām umr mirā ġham se bas rahā rishta
maza sā aane lagā mujh ko zaḳhm khāne meñ
sunā hai rab use uqbā meñ baḳhsh detā hai
sazā.eñ detā hai jis ko 'sahar' zamāne meñ