Sahar Mahmood

hai bais-e-sukun suKHan-war tumhaara nam

Sahar Mahmood

Kapilvastu, Nepal

1989
hai bā.is-e-sukūn suḳhan-var tumhārā naam
letā hai is liye vo barābar tumhārā naam
mujh ko yaqīñ hai tum bhī bahut muztarib rahe
jab bhī liyā hai maiñ ne taḌap kar tumhārā naam
uThtā hai jab tabāhī-e-dil kā kabhī savāl
aa aa ke Thahar jaatā hai lab par tumhārā naam
mere tamām sheroñ meñ ik jaañ sī paḌ ga.ī
likkhī ġhazal jo zehn meñ rakh kar tumhārā naam
kaise miTā.e mauj-e-havādis tumhī kaho
hai naqsh zehn-o-dil pe gul-e-tar tumhārā naam
tahzīb ke ḳhilāf hai iz.hār-e-āshiqī
aatā nahīñ hai is liye lab par tumhārā naam
ye sirf vālihāna mohabbat kī baat hai
merī suḳhan-varī kā hai mehvar tumhārā naam
had-darja jāñ-gudāz haiñ yādoñ ke silsile
kaise 'sahar' bhulā.egā dilbar tumhārā naam
Top Urdushayar.com