ham qatl kab hue ye patā hī nahīñ chalā
andāz thā ajab ki vo ḳhanjar ajiib thā
ummīd-e-bāryābī to mujh ko na thī magar
sāhil pe aa gayā maiñ samundar ajiib thā
dam-bhar ko bhī nigāh na chehre pe Tik sakī
us paikar-e-jamāl kā tevar ajiib thā
tanhā bhī rah ke ham kabhī tanhā nahīñ hue
hamrāh us kī yādoñ kā daftar ajiib thā
ham-dam gumān hotā thā phūloñ kī sej kā
ḳhāroñ se vo sajā huā bistar ajiib thā
ham mahv-e-justujū the 'sahar' mustaqil magar
manzil milī na phir bhī muqaddar ajiib thā