chaman meñ rah ke bhī kyuuñ dil kī vīrānī nahīñ jaatī
bas itnī baat par logoñ kī hairānī nahīñ jaatī
muqaddar par huā huuñ jab se maiñ raazī usī din se
ḳhushī ho yā ki ġham chehre kī tābānī nahīñ jaatī
farishte bhī hamārī qismatoñ par naaz karte haiñ
magar apnī haqīqat ham se pahchānī nahīñ jaatī
anā kā mas.ala dīvāngī se kam nahīñ hotā
haqīqat kitnī bhī vāzeh ho vo maanī nahīñ jaatī
haqīqat meñ vo ā.īna-sifat insān hotā hai
ki tauba kar ke bhī jis kī pashemānī nahīñ jaatī
ye shikve aur ye hīle-bahāne kyuuñ abas kiije
jinheñ bachnā ho un kī pāk-dāmānī nahīñ jaatī
nazar meñ phir rahā hai bas kisī ke husn kā manzar
mazāq-e-dīd kī vo jalva-sāmānī nahīñ jaatī
mohabbat ke liye ab to riyā-kārī zarūrī hai
yahāñ ahl-e-junūñ kī qadr pahchānī nahīñ jaatī
qayāmat kī nishānī ye nahīñ to aur phir kyā hai
libās achchhe haiñ lekin phir bhī uryānī nahīñ jaatī
ta.alluq dūriyoñ se aur bhī mazbūt hotā hai
'sahar' insāñ kī lekin ḳhū-e-nādānī nahīñ jaatī