dāstāñ kyā thī aur kyā banā dī ga.ī
kuchh ghaTā dī ga.ī kuchh baḌhā dī ga.ī
kar ke tajdīd-e-ahd-e-vafā dil-nashīñ
qaid kī aur muddat baḌhā dī ga.ī
jaañ hathelī pe le kar pahuñch hī ga.e
ahl-e-dil ko jahāñ bhī sadā dī ga.ī
rabt-e-bāham vo pahle sā baaqī nahīñ
kaisī sūrat jahāñ kī banā dī ga.ī
chashm-e-haq-bīñ meñ duniyā ye kuchh bhī nahīñ
sirf āñkhoñ meñ dilkash banā dī ga.ī
bhuul paanā unheñ ab to mumkin nahīñ
dil meñ kaisī ye sūrat basā dī ga.ī
kho ga.e kin ḳhayāloñ meñ tum ai 'sahar'
mahfil-e-jān-o-dil to sajā dī ga.ī